Friday, March 19, 2010

~Ho Jateh Hai~

Waqt ke ageh hum kitne kamzoor ho jateh hai
jo kabhi lagte the apne, woh anjane se ho jateh hai,
khuch naye chehre kyun apne ho jateh hai..

Waqt ke ageh hum kitne kamzoor ho jateh hai
jin cheezon ki kabhi khum dete the duhayein,
un chezon ke he hum mauhtaaj ho jateh hai


Waqt ke ageh hum kitne kamzoor ho jateh hai
Jo udteh the aasmano mein befikhir,
Aaj wohi tuuteh pankhon ke sath so jateh hai..


Waqt ke ageh hum kitne kamzoor ho jateh hai
Palak jhapakteh he yehan mausam badal jateeh hai
vishwaas rakhte the Jinse bepanah, woh muh mod ke khadeh ho jateeh hai


Waqt ke ageh hum kitne kamzoor ho jateh hai
purana waqt yaad karke, khush toh bahut ho jateh hai,
phir kyun itne bechare se ho jateh hai...


Waqt ke ageh hum kitne kamzoor ho jateh hai
kismut bhi rang badalti hai saali girgat ki tarah,
aaj teri chuth pe jo barsa hai panni
kabhi yeh he ankhon se jhalktha tha meri...
Ansuoon se bach ke rehna, khuch bundon se bhi sailaab ahh jateh hai.......X

Sunday, January 17, 2010

~Nah Ho~


Woh lafz, Lafz he kya jismein koi gehrayee nah ho
woh ankhein, Ankhein he kya jismein koi samundar nah ho,

Woh javani, Javani he kya jismein koi roomani nah ho,
Woh ishq, Ishq he kya jismein koi Tadap nah ho,

Woh naav, Naav he kya jiska koi Mahji nah ho..
Woh pooja, Pooja he kya jismein koi shiddat nah ho..

Woh Lamha, Lamha he kya jismein koi luft nah ho...
Woh khoobsurati, khoobsurati he kya jismein Yaar ke koi jhalak nah ho..

Woh Zindagi, Zindagi he Kya jismein Koi Junoon nah ho,
Woh Maut, Maut he kya jismein Koi Sakoon nah ho...

Saturday, December 12, 2009

~Raza kya Hai~


Aeh zindagi batah de mujeh teri raza kya hai?
Manzilein pah kar bhi door se lagti hai
teri ismein siyasat kya hai?
Purani zindagi ab talak nayi si lagti hai
Nayi zindagi mein bhi yeh purana zaika kya hai??


Aeh zindagi batah de mujeh teri raza kya hai
Mere ghar ke dar se sari Khusyian dikha toh karti hai
Akhir mere ghar ki dehleez pe tuneh rakha kya hai?

Aeh zindagi batah de mujeh teri raza kya hai?
Yeh Kahmoshiyon ka yuhn besabab chilana, Kya hai?
Yuhn roz ansuoon mein Ghul jana, Kya hai?
ajeeb se sudh mei khudh ko bhul jana, kya hai?
Andheron ka yuh kus ke gale lag jana , Kya hai?

Aeh zindagi batah de mujeh teri raza kya hai?
Khuch pul khushi se musskra liye toh tu khafa kya hai?
Apne mun ki kar li toh ismein musibat kya hai?
Mohabbat ko he meine apna Khudah mana toh ismein takleef kya hai?
Bus itna bath de ZINDAGI..teri raza kya hai???

Thursday, November 26, 2009

~Kya Dekha~ (On 26/11 Incident..)

Aaj din mein jub ankh khuli toh kya dekha..?
station pe sub jagah hulchul se machi thi,,
khuch bachon ko rootey hue lahoo luhan dekha..

Kahin samman padeh the lawariss se ,
Khuch lashon ko lawaris hoteeh dekha...

Goliyon ki bauchaar mein insaniyat ko marteh dekha..
In mazhabon ki ladayi mein, Hazaron Gharon ko uhn he ujadteh dekha..

kisi ko desh ke liye ladteh-ladteh Shaeed dekha..
Kisi ko be wajah maut ka tandavv karte dekha..

Aaj din mein jub ankh khuli toh kya dekha..
Pure shehar ko ek raat mein bikharte dekha..
Waqt ko bhi khuch waqt ke liye rukaa dekha,,,
Insanyiat ko sadko pe khoon bun ke behthe dekha...

Bachpan ko jawani ki dehleez pe dum todte dekha..
khuch haiwano ko aise matam pe bhi haste dekha..
Ankhen bundh ho jati toh accha tha,
Aise manzar Ko akhir meine kyun dekha....???

Aaj din mein jub ankh khuli toh kya dekha..
Un maut ke saudagron ko ab talak mehfoos dekha...
bus Ankhein band kar li hai meine,
Aur hath uttha liye hai fariyaad ko
Khudah rehem mut bakshna un maut ke veypariyon ko
yeh he fariyaad ko her ek Hindustani ke dil mein dekha...

Monday, November 23, 2009

~ITNAH HE THA~

Tere mera sath bus itnah he tha...
Woh Keh-Kahon ka shor gul bus itnah he tha...
Baharaon ka sumah bus itna he tha....

Teri duniya mein mera naam bus itnah he tha...
Is mehfil mein meri ghazlon ka saroor, bus itnah he tha..
Kaynaat mein khudah bus itnah he tha...

Andheron ka saath bus itna he tha...
Is manzil pe mera padav bus itnah he tha..
Teri ankhon mein mera chehra bus itna he tha...

Kal aur ayenge humse behtar teri mehfil ko roshan karne..
Yeh Hamara silsila, Yeh maujon ka mela,
Yeh befikri ka daur bus itna he tha...

Tera Mera Sath bus itna he tha.........

Tuesday, November 10, 2009

~Parivartan~


Kal tuk jo hum galiyon mein khela karteh the
Aaj kal galiyan bhi dhoondti hai woh nuneh se kadam
parivartan shayad isi ko kehteh hai..

Kal tuk toh sharmana ladkyion Ka gehna tha.
Aaj uneh dekh sharam bhi besharmi ka ghoot pe gayi hai
parivartan shayad isi ko kehteh hai..

Kal tuk jin kheton mein fasle paka karti thi
Aaj kal wahan gaganchumbi dukanein Khadi ho gayi hai
parivartan shayad isi ko kehteh hai..

Kal tuk toh Wafa ki hawa baha karti thi her jagah
Aaj kal toh bewafayi bhi Fashion ho gayi hai...
parivartan shayad isi ko kehteh hai..

Kal tuk jo khut likha karte the hum hindi basha mein
Aaj kal Hindi ko he English mein likah karte hai
parivartan shayad isi ko kehteh hai..

Kaltuk jo karze ki zindagi bhoj Lagah Karti Thi
Aaj kal Credit Cards sabki zaroorat ho gayi hai
parivartan shayad isi ko kehteh hai..

Sunday, November 8, 2009

~WOH~

Log puuchte hai meri zindagi ka patah,
Uski haseen muskaan ke paas shayad Mileegi Woh

Uske Ankhon ke kajal se poochna uska patah..
Uski palkoon ke nichee shayad Mileegi woh

Jo kahin gum ho jao usse dhundte dhundte..
toh uski bandh ankhon mein mileegi woh

Meri zindagi toh khuch bhi nahi...
Kaynaat ki khoobsurti roobaru ho jayeegi
Agar Dil mein utaar gayi Woh..

Apne Hosh-O-Awaz ko thamme rakhna...
Sunah hai Katilana nazar rakhti hai Woh..

Agar Mil jaye meri zindagi uske pehlu mein Kahin..
Toh kehna,,, Tujeh bahut yaad kartah hai Woh...

Sunday, November 1, 2009

~Shayad~

Meri Hatheli mein bhi ek kismut ki lakeer dikhne lagi hai
khudah ko bhi mujhpe aya hai reham shayad...

kitne dino se kisi ne mere naam nahi pukara
Mere wajood se mera naam khafa hai shayad..

Na jane kyun Ankhon mein Nammi se ah gayi hai..
koi purana khut khula hai shayad..

Jab bhi hustah hun toh lagtah hai kurz utaar raha hun
Khushyion se bhi koi purana hisaab hai shayad..


Neend hai ki vo bhi muh mod chali hai...
Tutee khwabon ko lekar naraaz hai shayad..

Zindagi meri toh Khali botal, khali Paiymane se reh gayi hai.
Tera nashaa ab talak hai shayad...

Zindagi toh bus ek majboori si lagti hai,
Is Namuraad dil ko tera, ab talak intezaar hai shayad..

Tuesday, October 13, 2009

~Uski Subah, Meri Subah~

Uske saath her lamha guzra hai mera
Uski khatir bahut khuch picche chuta hai mera,,
Uski muskrahton ke katron se ashiyana bana hai mera,
Uski batton se gulistaan mehekta hai mera
Phir uski subah, meri subah se alag kaise?

Wajood toh Andheron mein gum tha mera
Uski mohabbat he shayad naam hai mera….
Bina uske chain Kahan tha mera….
Uski ankhon mein chupa tha ghar mera
Phir uski subah, meri subah se alag kaise?

Uski judai bhi ek ishq ka zariya hai mera…
Log na jane kyun kehteh hai, udaas sa chehra hai mera
Khudah gawah hai dil paak hai mera….
Khudah ki innayat jaisa Pyaar hai mera
phir uski subah, meri subah se alag kaise?

Friday, September 25, 2009

~Nahi Karti~

Aadtaien badalne se zindagi nahi badla karti
Ainein ko saaf karne pe bhi, Teri Tasveer mitta nahi karti

Nayi ghadhi le lene se Waqt ki suiyan badla nahi karti..
Purane Zakhmon pe malhum lagane se cheeez kum hua nahi karti..

Mujh mein ab vo Khushi raha nahi karti..
Teri Tasveer kabhi Mailee hua nahi karti
Yadeein he hai bus jo kabhi budi hua nahi karti...

Waqt ke ageh kisi ki bhi mazaal chala nahi karti..
Gum aur khushi mein kabhi sulah hua nahi karti..

Mun toh kartah hai ke, Aaj pe Panv rakh ke Kal mein chala Jaun
Per Khudah ke ageh meri ek bhi, chala nahi karti...

Thursday, September 24, 2009

~Yaad Kiya~

Kabhi Adhi-Adhi raat mein uth-uth ke tujeh yaad kiya..
Kabhi shaam savere toh, Kabhi andheron mein tujeh yaad kiya..

Tuneh mujhe bhula diya bure khwab ki tarah
Humne toh Khwabon mein bhi tujeh yaad kiya,

Kabhi Teri vo bachon se harkaton ko toh kabhi,
Teri woh jhuth muth ki ladayion ko yaad kiya

Teri chulbuli muskaan ko dard mein,
Tere Ashkon ko khusiyon mein yaad kiya..

Akele bethe hai hum kabhi, Aur hothon ko sil kar bhi dekh liya
Tanhayee chu nah payi muejh ab talak...
Teri choti-choti se baaton ko khuch is kadar "Yaad Kiya"....

Monday, September 21, 2009

~Ho Jati Hai~

Teri yaadein jab bhi ghar aati hain.....
her zaarre ko roshan kar jati hai..

Us roz tera mujhe bus ilm sa hua tha..
Rooh toh dekhteh he tumeh madhoosh ho jati hai..

Ankhein jhapkani chod di hai meine
palkein judteh he zindagi kitni haseen ho jati hai...


Tu chahe mut dekhna mujhe roobaru..
Teri parchayee se he meri shyam ho jati hai..

Yuh nah churaya karo nazrein humse..
Ke ek nazar se he hamari rehguzar ho jati hai...

Thursday, September 17, 2009

~Kya Dekha~

Aaj raat jub Ankh khuli toh kya dekha..
Armano ki laash ko bistar tale padeh dekha
Khwaab sare ass paas bethe ro rahe the..
Sannaton mein cheekhon ko goonjteh dekha..

Chahat ko khawabon ko sehlateh dekha
Armano ki Maut ko sab pe muskrate dekha..
Safed libaas mein mohaabat khadi thi
Armano ki laash dekh, uski ankhon ko Jhalakte dekha
Aaj raat jub Ankh khuli toh kya dekha..

Raat ke sannatein mein maut ka tandav dekha
Pau fatne ko taiyaar khadi thi
Khwabon ke kandoh pe Armano ko leh jate dekha
Is raat mein yeh meine kya manzaar dekha

Sare armaan mar chuke the..
khwabon ko khoon mein latpat dekha

Aaj raat jub Ankh khuli toh yeh dekha..

~Rehne Do~


Mujhe bhi apni kahani ka kirdaar rehne do,
behfazool he sahi apni kitab mein kaid rehne do

Badhaya hotah agar hath, toh yuh nah doobe hoteh
jhoothe he sahi per tumhare khwaab rehne do

Khusi-e-Daariya toh tum saath he le gaye the,
Ji sake khuch aur pal, itna toh Pani rehne do

Gumon ne jakdah hai mujeh rooh talak
Sans atti rahe itni, toh apni yaad rehne do..

Mera Wajood toh toot Chuka tere pairon tale
Chotah he sahi per mera naam rehne do...

Jub tha waqt, tub tune na dikhayi wafa humko
Guzaarish hai bus itni keh
Ab Mujeh mere haal pe "rehne do"....

Wednesday, September 16, 2009

~God is Watching Us~

You did what your contious said
I do what my hearts says..
becuz God is watching us from d distance

You played with my feelings like a cheap toy
You pretended me as If, I'm your Dream boy..

You showed me blissful, Romantic but false dreams
Then you forgotten me like a bad dream
but I still Call you back everynight in my screams
becuz God is watching us from d distance

You left me with your footstpes on my heart
God knows from where you learned this art.
Think Twice before you sell our dreams at Mart
becuz God is watching us from d distance


Oh lord is there anything Left I need to go through
Is there any pain which I still need to go through
Hoping that you will give me next chance to break through
Becuz Some priest told me that "God is watching us from d distance"